top of page

Payout ke aksar pooche hue sawal aur jawaab

Aap apne payout ke liye tayyar hain?

Oraan Payouts ka tareeq-e-kaar ye hai:

Mera payout mujhe kab milega?

Oraan aapka Payout 11 se 15 tareekh tak bhejega, agar aap gold star member hain tou aapko aapka payout 9 tareekh tak bhi haasil hosakta hai.
Agar aap committee ka first month le rahey hain, tu apke payout ki tareekh 15 se 18 ke darmiyan ho gi. 

2

Mai gold star saver kaise bansakti/sakta hun?

Gold star saver banna buhat asaan hai. Gold star banne ke liye aapko apni instalment advance mein ya har mahinay 1 se 5 tareekh ke darmiyaan bhejni hogi.

3

Mujhe mera oraan payout kaise milega?

Ye aapki marzi hai, aap apna payout haasil karne ka tareeka khud choose karsakte hain.

 

Aap ka Payout hum aap ko Bank transfer, JazzCash ya Easypaisa istemaal karke  bhejsaktay hai.

 

Agar aapne bank transfer ko chuna hai, tou aapko apni bank details humein dastiyaab krni hongi aur hum unko verify karenge.

 

Agar aap JazzCash ya Easypaisa chunte hain, tou baraye meherbani uski rozana ki limit check kariye takay aapke payout mei koi ruqawat na ho.

4

Agar mere pas bank account na hou tou mai kia karsakta/sakti hun?

Ap humein batasakte hain ke hum aapka payout Jazzcash ya Easypaisa se bhejsakein. Ya phir aap kisi khandaan wale ka bank account dei sakte hain, lekin aapki security ke liye hum ye details aik dafa verify kareinge.

Please ghour karein ke, Oraan team kisi dost ka bank account nahi istemaal karsakta. Iss baat ka bhi deehan karey ke aapki Easypaisa ya Jazzcash account ki recieving limit payout wasool kernay ke liye kafi hai.

5

Agar mere Easypaisa ki rozana hasilana had [receiving limit] PKR 25,000 hai lekin mera payout usse ziada hai, to mai kia karun?

Aap apni limit ko Easypaisa call karke barhwa sakte hain, ya phir humein ek bank account farhaayim karsakte hain. Agar ye dono tareeke mumkin nahi, tou hum aapke Payout ki raqam ko 2 hissay mein 2 alag din mei bhejsakte hain, lekin iski wajah se aapka Payout 18th tareekh tak jaasakta hai.

6

Kia mujhay is mahinay apni instalment pay karni hai?

Apne Payout ki mahinay mein aap ko apni instalment ki raqam ada nahi karni, wou aapke payout se khud-ba-khud katjayegi. Misaal ki tor pe, agar aapki mahana instalment ki raqam PKR 5000 hai, aur aapka Payout PKR 50,000 hai tou hum aapko PKR 45,000 bhejenge. Hum aapki mahana service fee bhi deduct karenge agar aapki instalment ki raqam pe fee lagti hai.

 

Agar aap apne Payout ke mahinay mei instalment ki raqam ada kardete hain, us raqam ko hum advance ke tor pe rakhenge agle mahinay ki instalment ke tor pe.

 

Refunds sirf us soorat mei diye jayenge agar aapka aakhri mahinay ho OC ka.

7

Mai Oraan ko apni account details kis tarah dun?

Aap apni account details hamare form mein darj karen, 25th se pehlay aapko ye maloomaat humein deni hogi takey hum aapka payout process shuru ker dein.

https://oraancommittees.typeform.com/to/pkY7sske

8

Mujhe mera agla payout kab milsakta hai?

Aap ek or OC ke liye apply karsakte hain aur Payout ka mahina chun sakte hain. Lekin baraye meherbani dihaan mein rakhiye ke aapki mukammal saving limit aapki verified income ki 10% hoti hai. Misaal ki tor pe, aapki mahana income PKR 100,000 hai, tou aap mukammal amount OCs se ek mahinay mei PKR 10,000 save karsakte hain.Agar aap ek OC ka hissa hain aur ek early slot chunte hain apni agli OC ke liye, tou aapki ehliyat ispe mabni hogi ke aap apni pehli OC mei kitne paisay save karrahe hain, aapki verified income aur hum aapka Payscore mei dekhenge.

9

Mein apni installment bhejne ke liye Oraan se kaisai rabta karoun? 

Apni Payout ya installment ke hawale se kuch bhi poonchne ke liye is number par rabta karein - 0300-1267226. 

10

Mai apni instalment payout milne ke baad pay karsakta/sakti hun?

Ye hamari policy mei nahi hai, aap apna payout sirf installment deduct ho ke ya phir instalment anay ke baad haasil karsakte hain. Agar aapki purani installments paid nahi hain tu Oraan team aapka cancel ya shift ker sakti hai.

11

Kia Oraan meri full fees is payout se kaatsakte hain?

Aapki mahana fees aur mahana instalment ki raqam aapke payout se kaat ke aapko ada ki jayegi.

12

Kia mujhe mera payout jaldi milsakta hai?

Payout jaldi hasil karne ke liye, aapko hamari Customer Support team - 0300-1267226 - se advance request daalney hogi, apki request aap ke payscore ko dekh ker approve hogi. Kyunke hum saare payouts aik saath bhejte hain, humein ye tareekh ko badalne mei waqt lagta hai. Hum payout month mein tareekh nahin badal saktey.

13

Mujhe mera payout milgaya hai lekin meri instalment amount kaatne ke baad? Maine apni instalment ada kardi thi. Ab mai kia karun?

Payout ki raqm se instalment kaat di jaati hain. Agar app ne apni instalment ki raqm ada kardi hai, fikr mat karein, wo raqm advance ki taur per ap ki aglay mahiney ke payment ke liye store kardi jaegi. Refund sirf os soorat mein diya jaega jab ab apni OC ke akhri mahiney mein hoon. Refunds ke liye humari team se rabta karein 0300- 1267226.

14

Mujhe mera payout kis wajah se nahi milega?

Agar aapne apni pichli instalments nahi clear ki huin tou aapka payout agay barhsakta hai aur ismei rukaawat aasakti hai.

Let's Work Together

This is a Paragraph. Click on "Edit Text" or double click on the text box to start editing the content.

bottom of page